SEO Kya Hai? Puri Detail Mein Samjhein (Search Engine Optimization)

SEO Kya Hai?

SEO ka matlab hai "Search Engine Optimization" – ye aik technique hai jiski madad se hum apni website ko Google ya kisi bhi search engine mein top par laa saktay hain. Iska basic maqsad hota hai traffic hasil karna, yaani zyada logon ko apni website tak lana. Jab koi banda Google per kuch search karta hai aur aapki website pehli page par hoti hai, to uska chance zyada hota hai ke wo aapki website visit kare.

SEO Ki Zarurat Kyu Hoti Hai?

Agar aap online business kar rahe ho, blogging kar rahe ho, ya koi service de rahe ho, to SEO zaroori hai. Aap paid ads ke zariye traffic la sakte ho lekin wo mehnga hota hai. Lekin SEO aik free tareeqa hai organic traffic hasil karne ka.

SEO Ke Do Aham Hisse

1. On-Page SEO: Is mein aap apni website ke andar improvement karte ho jaise ke keywords ka sahi use, content ka quality, headings ka theek structure, meta tags waghera.

2. Off-Page SEO: Is mein aap apni website ke bahar se backlinks banate ho, social media par promotion karte ho taake aapki authority barhe.

SEO Kaise Seekhein?

SEO seekhne ke liye aapko basics samajhne honge. Aap free courses kar saktay ho, ya YouTube videos dekh saktay ho. Hamari website AZ Facts per bhi SEO tutorials Urdu mein milte hain jo bilkul asaan aur practical hain.

Conclusion

SEO har digital marketer ke liye bohot zaroori skill hai. Agar aap online grow karna chahte ho to aaj se hi SEO seekhna start karo. Ye aik long-term process hai lekin bohot faida mand hai.

Comments