Keyword Research Kya Hai? Free Tools Se Best Keywords Kaise Dhundhein – Urdu Guide
Keyword Research Kya Hai? Free Tools Se Best Keywords Kaise Dhundhein – Urdu Guide
Agar aap chahte hain ke aapki blog post Google mein rank kare, to sabse pehla step hai Keyword Research. Is post mein aapko samjhayenge ke keyword kya hota hai, keyword research kyu zaroori hai, aur kaunse tools se best keyword dhoondhe ja sakte hain.
Keyword Kya Hota Hai?
Keyword wo lafz ya jumla hota hai jo log Google ya kisi search engine par likhte hain kuch search karne ke liye. Jaise: “SEO kya hai” ek keyword hai.
Keyword Research Kya Hai?
Keyword research ek SEO technique hai jisme hum yeh jaan'te hain ke log kis topic ko search kar rahe hain, uska competition kya hai, aur wo keyword kitna valuable hai. Iska faida yeh hota hai ke aap wahi content likhte hain jo log search karte hain.
Keyword Research Kyun Zaroori Hai?
- Google ranking ke liye sabse important
- Targeted traffic milta hai
- Content waste nahi hota
- AdSense earning barhti hai
Top 5 Free Keyword Research Tools
- Google Keyword Planner: Google ka apna tool hai – accurate aur trusted
- Ubersuggest: Neil Patel ka tool – keyword ideas + competition
- AnswerThePublic: Long-tail keyword ideas milte hain
- Ahrefs Free Keyword Generator: High quality keywords aur questions
- Google Search Suggestions: Google mein likhte waqt jo suggestions aate hain wo bhi useful hote hain
Kaise Check Karein Ek Keyword Achha Hai Ya Nahi?
- Search Volume: Monthly kitni baar search hota hai?
- SEO Difficulty: Us keyword par competition zyada to nahi?
- CPC: Ad ka rate – agar AdSense earning ka plan hai to
- Relevance: Aapke topic se related hona chahiye
Bonus Tip: Long-Tail Keywords Use Karein
Short keywords jaise "SEO" pe competition zyada hota hai. Lekin "SEO kya hai Urdu mein" jaise long-tail keywords par ranking ka chance zyada hota hai.
Conclusion
Keyword research har successful blogger aur SEO expert ka pehla kaam hota hai. Agar aap sahi keywords target karein to aapki website organic traffic se bhar sakti hai – bina paisa lagayein!
AZ Facts – SEO Samjho, Smart Kaam Karo 🔎
Comments
Post a Comment