Fiverr Kya Hai Aur Gig Kaise Banate Hain? – Urdu Step-by-Step Guide

Fiverr par account kaise banayein? Gig kya hoti hai? Step-by-step Urdu guide mein Fiverr par freelancing ka poora tareeqa seekhein.

Fiverr Kya Hai Aur Gig Kaise Banate Hain? – Urdu Step-by-Step Guide

Agar aap freelancing start karna chahte hain to Fiverr sabse best aur easy platform hai beginners ke liye. Is post mein hum dekhein ge Fiverr kya hota hai, aur aap is par kaise apna gig create kar ke paise kama sakte hain.

Fiverr Kya Hai?

Fiverr ek online marketplace hai jahan buyers aur sellers dono available hote hain. Seller yani freelancer apni service (gig) offer karta hai aur buyer order deta hai. Fiverr per minimum service $5 se start hoti hai.

Fiverr Par Kaise Kaam Start Karein?

  1. Step 1: Visit karein: www.fiverr.com
  2. Step 2: Apna account create karein (email, username, password)
  3. Step 3: Profile complete karein – apna skill likhein, photo lagayein, description likhein
  4. Step 4: Gig create karein (neeche detail hai)
  5. Step 5: Jab order aaye to time par deliver karein aur rating lein

Gig Kya Hoti Hai?

Gig ek aapki service ka ad hota hai. Jaise:
"I will design a professional logo in 24 hours"
Ismein aap batate hain ke aap kya service dein ge, kis rate mein aur kitne time mein.

Fiverr Mein Gig Kaise Banayein? (Step-by-Step)

  1. Login karein aur "Create a New Gig" par click karein
  2. Gig Title: Jaise "I will create SEO optimized blog post"
  3. Category: Apne skill ke mutabiq category select karein
  4. Search Tags: Logo Design, SEO Writing, Data Entry (max 5)
  5. Pricing: Basic, Standard, Premium packages set karein
  6. Description: Detail mein batayein ke aap kya karen ge
  7. Requirements: Client se kya lena hai wo likhein
  8. Gallery: Apna kaam (images/videos) add karein
  9. "Publish Gig" par click karein – aapka gig live ho gaya!

Gig Ko Search Mein Laane Ke Tips

  • Title mein keywords use karein
  • Gig images professional aur clear ho
  • Search tags relevant aur popular hon
  • 24 hours mein online rahein (response fast ho)
  • Client ka kaam waqt par complete karein

Conclusion

Fiverr par account banana aur gig create karna asaan hai, lekin success tab milti hai jab aap quality kaam aur fast service dete hain. Har skill walay ke liye Fiverr ek golden platform hai.

AZ Facts – Freelancing Seekho Asaani Se 💼

Comments