Blogger Par Website Kaise Banaye – Step by Step Guide for Beginners

Agar aap ek beginner hain aur free mein website banana chahte hain to ye post aap ke liye hai. Blogger par blog banana bilkul free hai aur iska use karna bohot hi asaan hai. Aaj hum aapko step-by-step guide dein ge ke Blogger par apna blog kaise shuru karein.

AZ Facts - Seekhna Hai to Digital Socho

Blogger Par Website Kaise Banaye – Step by Step Guide for Beginners

Aaj ke digital zamane mein har koi chahta hai ke uska apna aik blog ya website ho jahan wo apni baat duniya se share kare. Lekin kai log confuse hote hain ke shuruaat kahan se karein? Agar aap bhi free mein apni website banana chahte hain to Blogger aap ke liye best platform hai.

Blogger Google ka product hai jahan aap free mein website bana sakte hain. Na domain khareedne ki zarurat, na hosting lene ki. Sirf ek Gmail account chahiye aur kaam shuru!

Step by Step Guide

Step 1: Gmail Account Banaen

Agar aap ke paas Gmail account nahi hai to pehle yahan se aik new Gmail account bana lein. Ye Blogger use karne ke liye zaroori hai.

Step 2: Blogger.com Par Jayein

Gmail account se login karne ke baad www.blogger.com open karein. Wahan "Create New Blog" ka option aayega. Us par click karein.

Step 3: Blog Title Aur Address Choose Karein

Apne blog ka title likhein (jaise "Tech World", "Health Tips", ya "AZ Facts"). Us ke baad ek unique blog address (URL) choose karein. Agar wo available nahi to Blogger aapko options de ga.

Step 4: Theme Select Karein

Blogger bohot saari free themes deta hai. Aap koi bhi theme choose kar sakte hain. Aap baad mein bhi theme change kar sakte hain.

Step 5: Apna Pehla Post Likhein

Blog banane ke baad "New Post" par click karein aur apna pehla article likhna shuru karein. Heading, content aur images use karein taake post attractive lage.

Blog Ki Settings Jo Aapko Pata Honi Chahiye

  • Meta Description: Ye Google ko batata hai ke aapka blog kis topic par hai
  • Custom Robots.txt: SEO ke liye zaroori hota hai
  • Labels: Har post ko categories mein daalne ke liye
  • Permalink: Har post ka apna unique link hota hai – ise SEO friendly banayein

Fayda Kya Hai Blogger Ka?

- 100% Free platform
- Google ka trusted service
- Asaani se AdSense approval milta hai
- Hosting aur SSL free milta hai
- Beginner-friendly interface

Next Kya Karna Hai?

Ab aapka blog ban chuka hai. Ab regularly posts karein, SEO seekhein aur Google AdSense ke liye apply karein. Aap social media se traffic bhi laa sakte hain.

AZ Facts aapko har step mein madad kare ga. Blogging seekhne ke liye hamesha humare saath judein rahiye.

Comments